Kabhi bay simt raaston per chalo ik bar chaltay hain
Dikhai de koi manzil chalo ik bar chaltay hain
Yahan tham saa gaya hay waqt hua kya hai khuda jane
Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain
Yunhi daaman bichaaye intezaar-e-ghum main kya rehna
Kahin be-chain lamhon main chalo ik bar chaltay hain
Badal kar dekh lete hain hum apni zeest ka mausum
Jahan mausam badaltay hon chalo ik bar chaltay hain
Suna hay kooch karnay say badal jaati hein taqdeerein
Yaqeen rukhtay hue dil main chalo ik bar chaltay hain
Saja kar rakh liye hein dard jo humne naseebon main
Kisi goher-e-shifa k paas chalo ik bar chaltay hain
Saza ka aur jaza ka muamla chhod do ab jaanay do
Jahan na khatm ho sadiyaan chalo ik bar chaltay hain
Tumhain koi ozer na ho tau, ye shaukat ko bata daina
Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain