Shayaris: 2013

Saturday, October 26, 2013

Andaz

Andaz apne dekhte hain aaine mein woh....
Aur ye bhi dekhte hain koi dekhta naho...

Friday, October 18, 2013

Nasha.........

Suna Hai..
Uski soorat Dekhne Walay.,
Koi aur Nasha Nahi Karte.....!!!

Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey.......

Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey
Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey........

Roshni chahiye lekin isi ik shauk mai hum
Ghar ko sholo'n k hawaley to nahi kar saktey.........

Noor ki raah mein deewar utthane waley
Qaid suraj ke ujaley to nahi kar saktey..........

Raig e sehra hi sunaye gi safar ki roodad
Guftugu pao'n ke chhaley to nahi kar saktey

Kaise aashiq hain ke khush hain teri ruswai par
Yuon kabhi chahney waley to nahi kar saktey......

Bad ghumaan hum se hain kuch log
to majboor hain ham
Saaf har zehen ke jaley to nahi kar saktey!!!

Mohabbat...

Woh Bhi Mujhe Aziz Tha,Mein Bhi Use Pasand.....

Phir Jane Kia Hoa Ke Mohabbat Nahi Rahi.....

Tu Kahin Bhi Rahe........

Tu kahin bhi rahe, sar par tere ilzaam to hai
tere haathon ki lakeeron mein, mera naam to hai

Mujhko tu apna bana, ya na bana, teri khushi
Tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai

Mere hisse' mein koi jaam na aaya, na sahi
teri mehfil mein mere naam, koi shaam to hai

Dekh kar logg mujhe naam tera lete hain
iss pe khush hoon, mohabbat ka yeh anjaam to hai

Woh sitamgar he sahi, dekh ke usko Danish
shukr hai iss dil-e-bemaar ko aaraam to hai

Masroofiyat

Hazaaron Masley Hain Jo Mujhe Masroof Rakhte Hain....
Mager Tum Anmol Itne Ho Ke Phir Bhi Yaad Rehte Ho….

Hunar.......

Naqash Meri Aankhun Sey Parhney Ka Hunar Seekh.

Har Baat Mere Yaar Bataaney Ki Nahi Hoti.

Wednesday, October 16, 2013

Aashna.....

Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan.........!!!
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay............!!!!

Soch

Mujhay us jagah se bhi muhabat ho jati hai......
Jahan baith kar eik baar tujhe soch leta hun......

Chalo ik bar chaltay hain

Kabhi bay simt raaston per chalo ik bar chaltay hain
Dikhai de koi manzil chalo ik bar chaltay hain

Yahan tham saa gaya hay waqt hua kya hai khuda jane
Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain

Yunhi daaman bichaaye intezaar-e-ghum main kya rehna
Kahin be-chain lamhon main chalo ik bar chaltay hain

Badal kar dekh lete hain hum apni zeest ka mausum
Jahan mausam badaltay hon chalo ik bar chaltay hain

Suna hay kooch karnay say badal jaati hein taqdeerein
Yaqeen rukhtay hue dil main chalo ik bar chaltay hain

Saja kar rakh liye hein dard jo humne naseebon main
Kisi goher-e-shifa k paas chalo ik bar chaltay hain

Saza ka aur jaza ka muamla chhod do ab jaanay do
Jahan na khatm ho sadiyaan chalo ik bar chaltay hain

Tumhain koi ozer na ho tau, ye shaukat ko bata daina
Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain

Tuesday, October 15, 2013

BEWAFAI........



Zameen kagaz ki ban jaaye samundar roshnai ka……….
Na hoga zikr pura fir bhi teri bewafai ka.............

Bhookh

Ik niwale ke liye hamne jise maar diya........
Wo parinda bhi kai din ka bhookha nikla........


BEZAAR...



Log kehten hain pareshan Hai zamana mujhsa….
Main zamane se hun bezaar kahun ya na kahun....

-----sanaullah  khan

Monday, October 14, 2013

Rishtey

Mujhe tum rooh me basa lo to achcha hai......

Dil k rishte aksar toot jate hai...........!!!!!

Aadat

Janey kis daur mein jaye gi yeh adat meri,
Roothna us se aur auron se ulajhtey rehnaa..

Dua.....

Koi “Zabt” de na “jalal” de,,, 
‘Muje’ sirf itna “kamal” de,,, 

‘Main’ har ek dil ki “sada” bano,,, 
K “Zamana” meri “Misaal” de,,, 

Teri “Rehmton” ka “Nazool” ho,,, 
Mri “Mehnaton” ka “sila” mile,,, 

Mujhe “Maal-o-zar” ki “hawas” na ho,,, 
Muje bas tu“ Rizq-e-Halal” de,,, 

Meray “Zehn” mein Teri “Fikr” ho,,, 
Meri “sans” me Tera “Zikr” ho,,, 

Tera “khouf” meri “Nijat” ho,,, 
Sabhi ” khouf” Dil se nikal de,,, “Aameen !!!

Sanaullah Khan----

Bewafai

Ye dekhna hai kahani kahan badalti hai.........
Abhi talak to wo hi bewafai karta hai.....

Saturday, October 12, 2013

Yun hi besabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo

Yun hi besabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo
wo gazal ke sachi kitab hai, use chupke chupke pada karo.....
 

koi hath bhi na milayega, jo gale miloge tapak se
ye naye mizaj ka shahar hai, zara fasale se mila karo.....
 

abhi reh mein kai mod hain, koi aayega koi jayega
tumhen jisne dil se bhula diya use bhulane ke dua karo.....
 

mujhe ishtahar si lagti hain, ye mohabbaton ke kahaniyan
jo kaha nahi wo suna karo, jo suna nahi wo kaha karo.....
 

kabhi husn-e-pardanashin bhi ho zara aashiqana libas mein
jo main ban-sanvar ke kaheen chalun, mere sath tum bhi chala karo.....
 

ye khiza ke zard-si sham men, jo udas ped ke pas hai
ye tumhare ghar ke bahar hai, ise aansuon se hara karo.....


nahi behijab wo chand sa ki nazar ka koi asar nahi
use tani garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo.....


Bashir Badr

Ye chandani bhi jin ko choote hue darati hai.....



Ye chandani bhi jin ko choote hue darati hai
duniya unhin phoolon kopairon se masalati hai…..

shoharat ke bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis dal pe baithe ho wo toot bhi sakati hai…..

loban mein chingari jaise koi rakh de
yun yaad teri shab bhar sine mein sulagati hai…..

aa jata hai khud khench kar dil sine se patari par
jab raat ke sarahad se ik rel guzarati hai…..

aansu kabhi palkon par ta der nahi rukate
ud jate hain ue panchi jab shakh lachakati hai…..

khush rang parindon ke laut aane ke din aaye
bichde hue milate hain jab barf pighalati hai…..

Ye chirag benazar hai......Bashir Badr

Ye chirag benazar hai ye sitara bezuban hai
abhi tujhase milta julata koi dusara kahan hai.....

 
wohi shakhs jisape apne dil-o-jan nisar kar dun
wo agar khafa nahi hai to zarur badaguman hai.....


kabhi pa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana
ye janam janam ka rishta tere mere daramiyan hai.....
 

mere sath chalanevale tujhe kya mila safar mein
wohi dukh bhari zamin hai wohi gham ka aasman hai.....

 
main isi guman mein barason bada mutmain raha hun
tera jism betagaiyyur hai mera pyar javidan hai.....


unhin raston ne jin par kabhi tum the sath mere
mujhe rok rok pucha tera hamasafar kahan hai......

Friday, October 11, 2013

Main aur Tu

Galatiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi,
Dono Insaan hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi ... !

" Tu Mujhe or Mai Tujhe Ilzaam Dete Hain Magar,
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi " ... !!

" Galat Fahmiyon Ne Kar Di Dono Mai Paida Dooriyan,
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi " ... !!!

Yaad

Barish Ban Ke Barash Rahi Hai,
Yaad Uski Qatra Qatra..!

Aaina

Hota Hai Tere Sheher Main Pathar Ka Karobar......
Main Bad-Naseeb Hon Ke Aeyna Saaaaz Hon.........

Meer Taqi Meer

dekh to dil k jan se uthta hai
ye dhuan sa kahan se uthta hai

gor kis dil-jale ki hai ye falak
shola ik subah yan se uthta hai

khana-e-dil se zinhar na ja
koi aise makan se uthta hai

nala sar khenchata hai jab mera
shor ek asman se uthta hai

larti hai us ki chashm-e-shokh jahan
ek ashob wan se uthta hai

sudh le ghar ki bhi shola-e-awaz
dud kuch ashiyan se uthta hai

baithne kaun de hai phir us ko
jo tere astan se uthta hai

yun uthe ah us gali se ham
jaise koi jahan se uthta hai

ishq ik 'Meer' bhari paththar hai
bojh kab natawan se uthta hai

Thursday, October 10, 2013

Mehfil

Teri mehfil se jaane ke liye sab yaar baithe hain.......
Bahut aage gaye baaqi jo hain tayyar baithe hain......

Sunday, October 6, 2013

Mirza Ghalib

Sare raah jo unse nazar mili.....
To naksh dil ke ubhar gaye....
Hum nazar mil ke  jhijhak gaye.
Wo nazar chura ke chale gaye..

Mirza Ghalib

Hazaron khawahishen aisi ki har khawahis pe dam nikle...
Bahut nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle.............

Mirza Ghalib

Unke dekhe se jo aa jati hai munh par raunaq...
Woh samajhtey hain bimar ka haal accha hai.....

Saturday, October 5, 2013

Waqt

Kal mila waqt to zulfein teri suljha dunga........
Aaj uljha hun zara waqt ko suljhane mein...

Friday, October 4, 2013

Galtiyan aur Ilzam

Galatiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi,
Dono Insaan hain, Khuda Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi ... !

Tu Mujhe or Mai Tujhe Ilzaam Dete Hun Magar,
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Mai Bhi Nahi " ... !!

Wednesday, October 2, 2013

Bada aasan Zindagi ka safar lagta hai


SarR se paa talak vo gulabouN ka shajar lagta hai,
Baa waazoo ho ke bhi chutay hove darR lagta hai.

Mein tere saath sitaroN se guzar sakta haouN,
Kitna aas-aaN mohabbat ka safar lagta hai.

Tuesday, October 1, 2013

Zindagi


Zindagi tune mujhe qabr se kam di hai zameen....
Pair failaun to deewar mein sar lagta hain..

Bashir Badr


Mere dil ki raakh kured mat ise muskura ke hawa na de
Ye chiragh phir bhi chiragh hai kahin tera haath na jala na de

Aah ko chahiye ek umr asar hone tak

aah ko chaahiye ik 'umr asar hone tak
kaun jeeta hai teree zulf ke sar hone tak ?

daam har mauj meiN hai halqa-e-sad_kaam-e-nahaNg
dekhaiN kya guzre hai qatre pe guhar hone tak

aashiqee sabr talab aur tamanna betaab
dil ka kya rang karooN KHoon-e-jigar hone tak ?

ham ne maana ke taGHaful na karoge, lekin
KHaak ho jaayeNge ham tumko KHabar hone tak

partav-e-khur se hai shabnam ko fana'a ki taaleem
maiN bhee hooN ik inaayat ki nazar hone tak

yak_nazar besh naheeN fursat-e-hastee GHaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak

GHam-e-hastee ka 'Asad' kis'se ho juz marg ilaaz
shamma'a har rang meiN jaltee hai sahar hone tak

Yaadon Ka Safar


Ujaale apni yaadon ke hamare saath rehne do...........
Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye........